Song Detail

Song: Aise Jalte Hai Jiya
Singer: Asha Bhosle
Music: Adnan Sami
Lyrics: Sameer
Movie: 1920
Year: 2008

Aise Jalte Hai Jiya Lyrics| 1920 | Asha Bhosle

AISE JALTE HAI JIYA LYRICS



Aaja re, aaja re, aaja re, aa..

Aaja re, aaja re, aaja re, aa..
Haaye.. Aise jalta hai jiya jaise diya

Aise jalta hai jiya jaise diya..
Jee na sakoon ab
Main tanha hoon piya
Aise jalta hai jiya jaise diya..
Aise jalta hai jiya jaise diya..
Jee na sakoon ab
Main tanha hoon piya
Aise jalta hai jiya

Bechain mere man ka mayura

Lagta hai tanha jeevan adhoora
Tan mein lagi hai virha ki jwaala
Ab to pila de adhron ka pyala
Trishna pukaare meri sun bariya
Aise jalta hai jiya jaise diya..
Jee na sakoon ab
Main tanha hoon piya
Aise jalta hai jiya

Tu hai akela, main hoon akeli

Sooni padi hai saari haveli
Betaabion ka pal be-sabar hai
Ab hone wali jaldi saher hain
Doori mita de milke aa sathiya
Aise jalta hai jiya jaise diya..
Jee na sakoon ab
Main tanha hoon piya
Aise jalta hai jiya

Jiya.. jiya... jiya..